Friday 24 April 2015

SHAYARI for FRieNDs...


 


    *  Zikar Hua Jab Khuda Ki Rehmaton Ka;
Humne Khud Ko Khushnaseeb Paya;
Tamanna Thi Ek Pyaare Se Dost Ki;
Khuda Khud Dost Bankar Chala Aaya!


   *  Ishq Aur Dosti Mere Do Jahaan Hain;
Ishq Meri Rooh To Dosti Mera Iman Hai;
Ishq Par To Fida Kar Dun Apni Sari Zindagi;
Magar Dosti Par To Mera Ishq Bhi Kurbaan Hai!

    *   Bahut Kuch Khoya, Bahut Kuch Paya;
Kasam Se Zindagi Ne Bahut Hasaya, Bahut Hi Rulaya;
Par Shikwa Nahi Zindagi Se Humein Koi;
Kyonki Issi Ne Kuch Haseen Dosto Se Bii Milaya!

    *   Dosti Se Kimati Koi Jageer Nahi Hoti;
Dosti Se Khubsurt Koi Tasveer Nahi Hoti;
Dosti Yoon Toh Kacha Dhaga Hai Magar;
Is Dhage Se Majboot Koi Zanjeer Nahi Hoti!

    *  Teri Dosti Mein Khud Ko Mehfooz Mante Hain;
Hum Doston Mein Tumhein Sabse Azeez Mante Hain;
Teri Dosti Ke Saeye Mein Zinda Hain;
Hum Toh Tujhe Khuda Ka Diya Hua Taveez Mante Hain!

 
    *   Dushmano Ki Jafaa Ka Khauf Nahin;
Doston Ki Wafaa Se Darte Hain!

    *   Jab Dosti Ki Dastaan Waqt Sunayega;
Hum Ko Bhi Koi Shaks Yaad Ayega;
Tab Bhool Jayenge Zindagi Ke Ghamon Ko;
Jab Aap Ke Saath Guzra Waqt Yaad Aayega!

    *  Kamjoriya Na Dhoond Mujh Mein Dost Mere;
Ek Tu Bhi To Shamil Hai Meri Kamzoriyon Mein!

    *  Wada Karte Hain Dosti Nibhayenge;
Koshish Yahi Rahegi Tujhe Na Satyaenge;
Zarurat Pade Toh Dil Se Pukarana;
Mar Bhi Rahe Honge To Mohlat Lekar Aayenge!

    *   Baatein Karke Rula Na Dijiyega;
Yoon Chup Rehke Saza Na Dijiyega;
Na De Sake Khushi,To Gam Hi Sahi;
Par Dost Bana Ke Uhi Bhula Na Dijiyega!

    *   Logon Ne To Thukra Diya Haal-e-Gharibi Dekh Ker Dost;
Hum To Aaj Bhi Badshah Hain Dosti Ke Bazaar Mein!

    *   Bade ajeeb hain ye zindagi ke raaste, anjane mod par kuchh log dost ban jate hain, milne ki khushi de ya na de bichhadne ka gam zarur de jate hain.


    *   Sabne kaha Dosti ek Dard hai,
Humne kaha Dard kabool hai,
Subne kaha is Dard ke saath Jee na Paogay,
Humne kaha teri Dosti ki saath Marna kabool hai


    *   Daulat Aur Sohrat sabke Pas Hai,
Khushiya Aur Ghum Sabke Naseeb Mein Hai,
Pyar Aur Nafrat Sabke Dil Mein Hai,
Par Khush-naseeb Hai Hum kyonki Tum Jaisa Dost Hamare Pas hai

    *   Dil se liya 1st "D"
Love se liya 2nd "O"
Rose se mila 3rd "S"
Geet se mila 4th "T"
Sathi se mila 5th "I"
kaisi lagi Ap ko meri "D O S T I"

 

    *   Zindagi mein hamesha naye dost milenge, kahi zyada to kahi kum milenge. Aitbaar zara soch kar karna, mumkin nahi tumhe har jagah HUM milenge.

    *   Sachii dosti be juban hoti hai, ye to ankho se byan hoti hai, dosti me dard mile to kya? Dard me hi dosti ki pahechan hoti hai


    *   Tum banke dost aise aye zindagi me
ke hum ye zamana hi bhool gaye
tumhe yaad aye na aye hamari kabhi
par hum to tumhe bhulana hi bhool gaye

    *   Dosti insaan ki zaroorat hai, dilon pe dosti ki hukamat hai aapk pyar ki wajah se zinda hain warna khuda ko bhi hamari zarorat hai..

    *   kuch log yaado ko dil ki tasveer banate hain. dosto ki yado main mahfil sajate hain, ham thoda alag hain jo kisi ko yaad karnese pahle unko apni yaad dilate hain

    *   Kya khabar tum ko dosti kya hai
Khwahishon se bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ek heera bhi hai
Dosti ek haseen khwab bhi hai

    *   Hum nibhayenge dosti marte dum tak, saath tumhara gham se khushi tak,
aye dost kabhi humse naraz na hona,
saath rehna hamare akhiri dum tak

    *   Dosti main dooriyan to aati hi rehti H
Phir bhi dosti dilo ko mila deti H
Wo dosti hi kiya jo naraz na ho,
Per sachi dosti dosto ko mana hi leti H.

    *  Ek dost ne dosre dost ko kuch is prakaar likha , mene hamesha 13:07 diya. Tum bhi mera 07:02 hum 02:09 ko humesha 01:07 rehna hai. Isliye mujhe chodne ki galti 02:12 mat karna.

No comments:

Post a Comment