Friday 2 September 2016

By Me Shayari

Some Heart Touching, True SHAYARI By Me
Which Can Be Helpful For You...... 
Sometimes It Will Happen That My SHAYARI Touch Your Situation Or Thinking... 
Feel The Dimension Of Words

Magic For You

Ghazal By Me... 

Naam mat lena us shahajahan ka kabhi 
Humne bhi apne moholle me tajmahal banwaye rakhe hai ,

Are usne to mumtaj ki yaad me banwaya tha

Humne to unke jeete jee banwa rakhe hai ,

Ek awaz lagakar uski dhadkane na rokh du to

Ye uske aashiq kabr me dafnaye rakhe hai , 

Kya guroor karega tu e-ameer

Tere aashiyaane to us gareeb ne sajaye rakhe hai ,

In chaar diwaari me kya roshni karega tu

Teri ameeri ne hi tere chiraag bhujaye rakhe hai ,

Mat thukra us aashiq ko is kadar

Jisne haatho me toote kaanch dabaye rakhe hai ,

Or, apne khoon ko itna keemti samajhne wali

Usne to ise paani ki tarah bahaye rakhe hai ,

Khush naseeb hai vo maa

Jisne apne chiraag us suraj ki tarah jalaye rakhe hai ,

Are koi aankh utha kar to dekhe us maa par

Uske suraj ne katal-e-aam machaye rakhe hai ,

Zara gaur se dekh e-zaalim

Is suraj ne bhi apne dil me angaare jalaye rakhe hai 

*************************************************************

Dhadkane ruk jati hai, teri yaaden nhi rukti
Tere itntezar me hum to ruk gaye lekin ye maut nhi rukti .

*************************************************************


Tu bhi ab meri Dhadkan si ho gyi

Tere bina ab zindagi maut si ho gyi ,

Sanse bachi thi thodi si mere pass

Ab to vo bhi teri gulaam si ho gyi .

*************************************************************

Jo gaya tha humse rooth kar

Aaj vo laut kar aaya hai
Haatho me gulaab or ankho me aansu laya hai ,
Koshish kar raha hai mujhe bulane ki vo nasamajh
Magar afsos usse pehle mujhe khuda ka bulawa aaya hai .

*************************************************************


kese kahoon ki ye dil tujhe chahta hai

Tu juda na ho ye soch kar ghabrata hai ,
Bs inhi se samajh mere dil ke jazbaat ...
E-ghalib ,
kali na ho to gulaab bhi murjha jata hai .

*************************************************************

Zara sir utha kar dekh, tujhe kya dikhta hai ??? ... 
Tujhe ye bs asman , parinde ko apna hamsafar dikhta hai ,

Meri aankho ne meri manzil ko dekh rakha hai
Raste badalne se kuch nhi hota ,
Mere kadmo ko bs ek safar dikhta hai...

*************************************************************


Dard itna ke koi hasaab nhi

khud khuda ke pass ab jawaab nhi ,

jiska dard liye baithe hai

ab use pane ka koi khwaab nhi ,

Har jaan har jahan se puch liyaa

ek jamane me jo the hum ab vo nawaab nhi ,

ye kesa anjaam hua ke ab

jo milta hai kehta hai ye dil ab swaab nhi ,

me mit gaya use banate banate

or vo kehte hai ye koi azaab nhi ,

Shab hoti thi vo hota tha or ek jaam hota tha

ae saaki vo sharaab la de ye vo sharaab nhi .

**************************************************************


Me teri ek nazar ka kaayal ho gaya 

teri ek jhalak se sheher me kesa bawaal ho gaya ,

teri payal , kajal , zulf in ada ke to sb dewaane hai 

zara koi mere dil se puche , ye kese ghayal ho gaya .

**************************************************************

Uthayi hai kalam to fasana bhi likha jayega
har ek pal har ek shabd bayan kiya jayega ,

jaha hua zikr unke naam ka vahan
kalam ko dabaya bhi jayega or uthaya bhi jayega ,

me nhi chahta mera qari khafa ho mujhse
to har zikra-e-zakhm ko ubhara bhi jayega ,

use sajane ki tamanna thi zindagi meri to ab 
kalam ke ashko se har panna sajaya bhi jayega

**************************************************************

Jb kuch na tha to hasa krta tha 
Ab sab kuch hai to rone laga hu ,

na the to pane ki thi khwaish unhe
Ab vo hai to unhe khone laga hu ,

Ghar me sukoon se soya jo krta tha
Bahar sukoon nhi fir bhi sone laga hu